maine shayad kabhi ye socha na tha ki main apni maatrabhasa main kuch likhne ka prayas karoonga... agar mujhe apne in vichaaron ko shaaayad kalam aur kaagaz pe sachmuch hindi main likhna pade to shayad ye mere liye aasaan na ho...
mujhe ab bhi wo din yaad hain jab angreezi main bolne ke liye pehle humen hindi main soch ke use angrezi main anuwaadan karna padta tha... lekin ab stithi ek dum vipreet hai... hindi main likne ke liye angrezi se hindi main anuwaadan karna padta hai...
aaj saayenkaal main mai aur mera mitra bahsa ke silsily main vaarta karne lage...poori vaarta apni bhasha ko lekar thi... lekin gaurtalab baat ye hai ki usmain bhi angrezi shabdo ka prayaog koot koot kar hua tha...aakhiri baar jab hindi likhne ki aawashakta shaayad mujhe daswi ki aakhiri imtehaan (udru??)// pareekhsha main padi thi.. tab bhi shaayd hindi main mere ank bahut chintajanak nahi the..
humaare pyaare mitra tiwaari ji ka paasport(hindi??) jab aaya to humen ek patra likhne ko kaha gaya jismain hume is baat ko sweekaar karna tha ki tiwaari ji ka chaal chalan sahi hai aur kisi bhi nyayalaye main unpe koi aarop darz nahi hai.. isi baat ko hindi main vyakt karne main kaafi kathinaayoun ka saamna karna pada...
to hum sabhi jaante hain ki hindi humaari maatrabhasha hai... lekin kya ye sirf kahne bhar ke liye hai? hum aaj kal ilahabad main hai hai.. jo hindi bhaashiyo ka garh maanaa jaata hai... pehle din ek chowkidaar ne humaare friends [angreezi ka jaanboojhkar istemaal] ko sahpaathi kah kar bulaya to humen kaafi aashchariya hua... sahpaadthi...??? ek baar ke liye to maatha thanka ki aakhir ye sajjan kya kehna chaahte hain... lekin daswi ki pustaken padhe itne din ho gaye ki ab sahpaathi pehle dost bane aur fir friends...is bhaag main ab bhi hindi ka prayog bade paimaane pe hota hai...
dilli ki hindi aur yehaan ki hindi main dharti aur aasmaan ka farq hai... shaayad yehaan ki hindi asli hindi ke zyaada kareeb hai..
to vaad vivaad ka kaaran bhasha ko le kar tha... mera priye mitra jo ki maraathi hai... maraathi bhaaasha ka bharpoor prayog karta hai... wo internet[??] pe bhi apni bhasha main padhta hai... aur apni bhaasha main likhi gayi pustaken bhi padhta hai... aur mujh se jab usne poocha ki hindi main is peedhi ke lekhakon ke visay main mujhe kitni jaankaari hai... to main asmanjas main tha...jaise taise maine kaha ... they dont affect my life... so i dont care abot them... pata nahi ye tarq kis had tak sahi hai...
aisa nahi hai ki hindi ke visay main mera gyaan bahut zyaada hai.. aur is ke kaaran bhi hai... hindi ka gyaan ya to daswi tak kuch kavitaayen,jeevniya aur kahaaniya padhne ke kaam aaya.. ya fir kabhi kabhar hindi akhbaaron pe nazar ferne ... jahaan jao hindi ke saath angreezi main kuch na kuch likha milta hai... aur hindi likhne ki aawashakta paathshaala ke baahar bahut kam hi padi... aaaj kal agar shudh hindi ka prayog aap karen to aap apne aap pe vyang karne ke liye doosro ko aamantrit karenge...ise aap ek sachhhayi samjhe yaa badalte hue bhaarat ka hindi prem!!!
New year in the old blog
5 years ago
2 comments:
Aap ka hindi chiththa padhake bahoot achcha laga. Yeh aasha hai ki aap aamuman hindi bhasha me likha kare, jisase ke hamare hindi bhasha prayog me bhi sudhar aayega. Kintu Hindi bhasha ka prayog karate samay is baat ka aagraha uchit nahi ki har shabd Hindi ho, aaj ke jamane me yah sambhav bhi nahi hai. Lekin 4/7 shabd firangi bhasha ke ho ye bhi uchit nahi hai. Jo shabd aasani se Hindi me upalabdha ho sakate hai, unhe hame prayog me laana chahiye. Vivadon ko vivadon me rahane de, aap ko Hindi prayog ke liye shubhakaamanaaye.
Taaja Kalam:
Passport=Paarpatra
Internet=Jaal/Aantarjaal
http://www.baraha.com/
Ekhad chiththa Devnagari me likha jaayega ye aasha (!ummid=urdu) karte hai.
Hindi prayog me koi galti hui hai to kshama (!maaf=urdu) kar dijiyega. Galtiyonko durlakshit (!nazar-andaaz=urdu) nahi kiya jaayega, sudharne me hamari sahayyata (!madat=urdu) kare.
भाई जान अच्छा है पर हिंदी पढने वाले के यहाँ फॉण्ट की प्रॉब्लम होती नहीं और आपने हिंदी के फॉण्ट स्तेमाल नहीं किये । तो हिंदी के फॉण्ट इस्तेमाल कीजिये क्यूंकि हमारे अंग्रेजी वाले भी नहीं पढ़ते हिंगलिश । अच्छा है
मिनिस्टर का लड़का फ़ैल हो। क्या वो मिनिस्टर उसे गोली मार देगा ? क्लिक कीजिये और पढ़िए पूरी कहानी और एक टिपण्णी छोड़ देना।
Post a Comment